Hey,
I was browsing recently through some of my old ghazals and I found this interesting.. Probably because it makes more sense during M.S than it made during work :D Hope you guys find it good enough..
Kisi ke yaad me bheegne ko waqt na raha..
wafaa se koyi rishtaa nibaane ko waqt na raha..
jis raftaar se ghuzar rahi he zindagi..
paak-e-iltimaas padne ko waqt na raha..
[paak == holy ; iltimaas == prayer]
kuch pal tanha rehene ko waqt na raha..
muraad-e-dil samajne ko waqt na raha..
jis raftaar se ghuzar rahi he zindagi..
qwaish-o-qwab sajaane ko waqt na raha..
[muraad == desire]
Kisi ke sittam paehechaan ne ko waqt na raha..
Khud ki ghum bayaan karne ko waqt na raha..
jis raftaar se ghuzar rahi he zindagi..
Do pal aasu bahaane ko waqt na raha..
[sittam == pain]
Izhaar-e-Mohabbat karne ko waqt na raha..
Humnawa ke intezaar ke liye kuch waqt na raha..
Jis raftaar se ghuzar rahi he zindagi..
Yaaro, halaaqat se pehle sone ko waqt na raha..
[Halaaqat == death]
Saturday, March 28, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)